Story -- " KABIR "

                                                        "KABIR"
                    -AQUIF JAWED.


Kabir_Kabir..,beta kuch kha leh ....
Ammi jaan Awaaz lagate hue kamre me dakhil hui .Kamre me jate hi dekha Kabir apne table pe baitha apni hi duniya me khoya hua hai, uske kamre ki dasha ko dekhte hue Ammi ne bola -"Es ladke ka mai kya karun,kabhi ghar ki zimmedari samjhata hi nahi-kam se kam apna kamra toh theek kar ke rakhe".Sabhi jagha pe uski kitaben aur paper faila hua rehta .Ammi ne fir mazakiye andaz me bola " eski shadi lkar deni chahiye ab -Bivi ki dant se shayad kaam kare, sara din bas likhne me laga rehta hai.

Isme Kabir ki koi galti nahi thi . Kabir ek writer tha aur trah trah ki rachnae karne me magan rehta tha.Kabir ko likhne aur padhne ka bahut shauk tha chahe koi religious book ho ya fir kisi kahani ki kitab .Kabir ko kitabe padhne se sarahna aur prerna milti nayi kahani bunne ko . 


Kabir ke bachpan ki baat kare toh yeh pata chalta hai ki wah apne nani se bahut kareeb tha.Reason yeh tha ki uski nani use trah trah ki kahaniya sunati thib -khalil jibran se le kar panchantra tak.Nani ke hayat tak uska sara dekh bhal nani hi karti thi ...khana khilana, khelna , sona , aur sara waqt sirf nani ke sath .Es wajah se wah apne nani se bahut kareeb tha.
        kabir ki umar kareeb 9 saal hogi jab uske nani ka intekaal ho gya . Nani ke wafat ke baad Kabir thora seham sa gya .Nani ke sath sara waqt bitane wala Kabir ab khud ko akela mehsoos karne laga .
Kabir ko bachpan se hi likhne ka shauk tha ,Nani ke sath bitaye saare lamho ko wah apne shabdo me sanjo kar likhta .Apni Nani se sun i kahaniya use yaad aati aur use protsahit karti nayi rachnae karne ko .

Kabir  abhi mehaz 10 saal ka hi tha aur usne kahaniya , kavitaye aur dusri rachnaye karne laga aur padhne me toh use ruchi thi hi .

Apne es likhne ki kala se usne apne school mme ek pechan bana li thi .Kisi bhi lekhni pratiyogita me avval aana kabir ki jaise aadat si bann gyi thi .


Kabir 7 saal ka tha jb uske Abbu ke wafat ho gyi thi, uske Abbu Wasim Khan ek jane mane newspaper me editor the .Khan sahab ko heart ki bimari thi .Wasim sb.ke jane ke baad Kabir ka dhyan uski Ammi aur Nani rkhti thi .uski har zaruraten.., har khwaish ko pura kiya .
    Ab Kabir 18 ka ho chuka tha apne likhne ke skill ko aur behtar tarike se samajh gya tha , Mehnat ki .., mehnat ki aur ache ache kitabe likh dali.Fir kya tha uski books best sellers banti chali gyi .

Waqt bit'ta chala gya ,Kabir ab ek jane mane lekhak ke roop me jane jana laga .....


                  .....TO BE CONTINUED.

Comments

Popular posts from this blog

ABOUT THE AUTHOR

EDUCATION